Wednesday, November 19, 2014


                                                         SHOEB YAMANI FUN 

Saturday, October 26, 2013

MAZE DAAR LATEEFE

LATEEFA 7

Mashoor saainse daan Ainstain ek baar bus me safar kar rhe the.
safar ke dauraan wo kuch zarori kaghazat bi padhna chahte the.
jeb me haat dala to malum huwa ke wo apni aainak ghar bhool aaye..
isliye unho ne apne paas baithe huwe musafir se darkhast ki ke wo azrahe karam in kaghazat ko padhde..,
is musafir ne jal kar kaha.......
Muaf ki jiye my bi aapki tarah jaahile mutlaq hun...,,,,

Tuesday, October 22, 2013

MAZE DAAR LATEEFE

LATEEFA 6

Temur lang ne jab samar qand fatah kiya to ek andhi aurat bhi qaidiyo ko pakdi gayi.
Baadeshah ne is se pucha'
 Tera naam kiya hai?
Aurat boli.
 mera naam Daulat hai..
 Badeshah ne is se pucha!
 kiya daulat andhi hoti ho hai?
Aurat ne jawab diya.
agar andhi na hoti to langde ke ghar kiyo aati..,,,,,,

Monday, October 21, 2013

MAZE DAAR LATEEFE

LATEEFA 5

Bartaniya ke saabiq wazeere azam Anthoni Apdan (jis ne misr par hamla kiya tha) shaayad khandani neem pagal tha.iske waalid Sar Wilyam Apdan ke mutallaq mash hoor hai ke ek roz use kisi dawat me jana tha ke dafatan baarish shuru hugai- kuch der isne baarish thamne ka intezaar kiya magar baarish aur tez ho gayi-
aakhir is ne deewar par lage huwe aalae mosamiyat ko dekha jo khush gawar musam ka pata de raha tha-
Sir waleem ne ghusse me aakar aalai musamiyaat ko deewar se nooch kar is se cheekh kar bola:
"jhoote to khushgawar musam bata raha hai, jaa aur apni ankho se dekh ke kiya musam khush gawar hai;??
  ye keh kar isne aale ko gali me phenk diya...

MAZE DAAR LATEEFE

LATEEFA 4

Doctor: khatoon aapko koi beemaari nahi hai aapko sirf aaram karna chahiye-"
Khatoon: aap bilkul mutmain hai na Doctor?
     meri zubaan bi zara dekh lete-"
Doctor: mere khayal me aapki zubaan bhi kuch arse ke liye aaram kare to bahetar hai""....""

Sunday, October 20, 2013

MAZE DAAR LATEEFE

LATEEFA 3

Doctor: (mareez se) pet ki tamam bimariyan daanto ki wajah se hoti hain.
Mareez: (jo bahut bodha ho chuka tha)"  lekin mera to koi daat nahi ha

MAZEDAAR LATEEFE

Lateefa 2

aadhi raat ke qareeb ek doctor ko uthaya gaya- baarish,sardi,phir gehri neend ki wajeh se doctor uthna nahi chahta tha  lekin log usko pakad dhakad kar kisi na kisi tarah beemar ke bistar tak le gaye- doctor ne badi tawajje ke saath beemar ka  karlo-
    beemar aadmi doctor ki imuaena kiya phir teemardaaro ko mukhtib karke kaha fauran kisi hafiz sahab ya masjid ke pesh imaam ko le aao taake wo mareez ko kuch dilasa de sake aur talqeen kar sake aur jaldi se iske tamam reshtedaaro ko jaman baato se sakhat pareshaan huwa, aur roate huwe kehne laga.....
doctor saahab!khadar khraab ho gayi hai aur suba tak bhi mere zinda rehne ki ummid nahi hai?
doctor ne kaha!
            kiya meri haalat is 
            "my tumhari baat ka jawab us waqat tak nahi de sakta, jab tak matlooba ashkhas jama na hojaaen"
kisi na kisi tarah pesh imaam sahab ko aur mareez ke bahut se rishte daarun ko mauqe par jama kar liya gaya.
ab doctor ne kaha...
          "is shakhas ko maamuli si beemari hai aur sahet bi kuch ziyaada kharab nahi hai-"
jo log wahan par jama the unho ne mutarazbana taur par kaha,,,
  "acha to phir hame yahan kiyo bulaya gaya hai......??
doctor ne badi sard muhri se jawab diya..
""hazrat kiya dunya me , ek my hi bewaqoof reh gaya hun k jo raat ke dhai baje fuzul aaire ghaire ke liye apni neend kharab karke chala aaoun.""""